Introduction | Poetry Collection  

I regulary update this section every week so do visit again for more plz

Woh Bhi Kya Din They * Woh Bhi Kya Din They Ke Pal Mein Kar Diya Kartey They Hum.....Umer Bhar Ki Chahtein,Her Aik HerJaye Ke Naam.....Woh Bhi Kya Mosam They Jin Ki Nikahton Ke Zayekey.....Likh Diya kartey They KHaal-o-Khud Ki Raynai Ke Naam....Woh Bhi Kya Suhbatein Thein Jin Ki Muskrahat Ka Fuson...Waqf Tha Ehle-e-Wafa Ki Bazm Araye Ke Naaam... Woh Bhi Kya Shamein Thein Jin Ki Shuhratein Mansoob Thein....Be Sabab Khultey Howey Balon Ki Raswai Ke Naaam....Ab Ke Woh Rut Hai Ke Her Taza Qayamat Ka Azaab...Apney Dil Mein Jagtey Zakhmon Ki Gahraye Ke Naaam....Ab Ke Apney Ansoaon Ke Sub Shikista Ayeney.....Kuch Zamaney Ke LIye, Kuch Apni Tanhai Ke Naam

Tazeer Ehtemam-e-Chaman Kon De Geya * Tazeer Ehtemam-e-Chaman Kon De Geya... Mujh Ko Gulaab Jaisa Kafan Kon De Geya?....Dekhey Woh Khad-o-Khal Tu Soocha Hai BarHaa....Sahraa Ki Chandni Ko Badan Kon De Geya?....Terey Hunar Mein Khilqat-e-Khushboo Sahi Magar....Kantoon Ko Umer Bhar Ki Chubhan Kon De Geya?......Meri Jabeen Ki Sari Lakeerein Teri Ataa....Laykin Teri Quba Ko Shikan Kon De Geya?.....Jangal Se Poochti Hai Hawaon Ki Barhami...Jugnoo Ko Teregi Mein Kiran Kon De Geya?......Kiss Ne BAsaye Ankh Mein Ashkon Ke Qafley....Be Ghar Musafiron Ko Watan Kon De Geya?......Tujh Se tu Khair Pal Ki Musafat Ka Saath Tha....Merey Badan Ko Itni Thakan Kon De Geya?......Tora Hai Kiss Ne Nook-e-Sinaa Per Sakoot-e-Sabar....Lub Bistagi Ko Taab-e-Sakhan Kon De Geya?.....Asif woh Kayenaat Ghazal Hai Usey Bhi Dekh!....Mujh se Na Pooch Mujh Ko Yeh Funn Kon De Geya?

Ik Mojah-e-SahBaye Junoo Taze Buhat Hai * Ik Mojah-e-SahBaye Junoo Taze Buhat Hai....Ik Sanse Ka Shisha Hai Ke Labraiz Buhat Hai....Kuch Dil Ka Lahoo Pii Ke Bhi Faslein HOyein Shadaab...Kuch Youn Bhi Zameen Gaon Ki Zarkhaiz Buhat Hai....Palkon Pe Chiragon Ko Sanbhaley Howey Rakhna...Is Hijer Ke Mosam Ki Howa Taze Buhat Hai....Boley Tu Sahi, Jhoot Hi Boley Woh Bala Se...Zalim Ka Lub-o-Lehja DilAwaiz Buhat Hai....kYa Us Ke KHad-o-KHaal Khulein Apni Ghazal Mein...Woh Shahar Ke Logon Mein Kum Amaiz Buhat Hai....Asif Usey Milna Hai tu Dukhney Do Yeh Ankhein....Kuch Aur Bhi Jagoo Ke Woh **Shub KHaiz* buhat Hai

Rah-e-Wafa Mein Aziat Shanasiyaan Na Gayein * Rah-e-Wafa Mein Aziat Shanasiyaan Na Gayein...Kisi Bhi Rut Mein Humari Udasiyan Na Gayein...Tani Hai Abr Ki Chadar Bhi Asmaan Pe Magar....Shuaye Mehar, Teri Be Labasiyaan Na Gayein....Terey Qareeb Bhi Rah Kar Tujhe Talash Karon....Mohabbaton Mein Meri Bad Hawasiyan Na Gayein... Khuda KHabar Kahan KonJon Ke Qafley Uterey?....Sumandron Ki Taraf Bhi Tu Peyasiyan Na Gayein....Khizaan Mein Bhi Tu Mehkati Ghazal Pehan Ke Milaa....Mazaj-e-Yaar Teri Khush Libasiyan Na Gayein...Basant Rut Mein Bhi Mandar Udass they Asif...Ke DEvtaon Se Milney Ko Dasiyaan Na Gaye

Anaa Pe Choot parey Bhi Tu Kon Deikhta Hai?..... * Anaa Pe Choot parey Bhi Tu Kon Deikhta Hai?.....Dhuwaan Sa Dil Se Uthey Bhi Tu Kon Daikhta Hai?.....Merey Liye Kabhi Matii Pe Sardiyon Ki Hawaa...Tumhara Naam Likhey Bhi Tu Kon Daikhta Hai?......Ujaar Ghar Ke Kissi Be Sada Dareechey Mein....Koi Chiragh Jaley Bhi Tu Kon Daikhta Hai?.....Hajoom-e-Shahar Se Hut Kar, Hadod-e-Shahar Ke Baad!...Woh Muskara Ke Miley Bhi Tu Kon Daikhta Hai?....Jiss Ankh Mein Koi Chehraa Na koi Akss-e-Talab!....Woh Ankh Jal Ke Bujhey Bhi Tu KOn Daikhta Hai?.....Hajoom-e-Derd Mein Kya Muskaraye Ke Yahan!....Khizan Mein PHool Khiltey Bhi Tu Kon Daikhta Hai?....Miley Beghair Jo Tujh Se Bichar Geya Asif.....Woh Rastey Mein Rukey Bhi Tu Kon Daikhta Hai?

Dil Ko Yoon Seel-e-Ghum Hijer Baha Le Jaye * Dil Ko Yoon Seel-e-Ghum Hijer Baha Le Jaye...Jaisey Andhi Kissi Patey Ko Uraa Le Jaye...Ghar Se Nikley ho Tu Dekho Na Palat Kar Ke Tumhein...Janey Kiss Simat Yeh Awara Hawa Le Jaye?.... Dil Se Lut Kar Bhi Sakhwat Ki Tamana Na Gaye...Koi Ujra howa Aye Tu Dua Le Jaye?....Khaak-e-Muqtil Meri POshaak Sumbhaley Rakhna!....Kya Khabar Kon Yeh Boseeda Qaba Ley Jaye?....is Se Pehlay Ke KHizaan Chaat Le Rangat Meri....Meri Khushboo Ka Asasaaa Tu Saba Le Jaye..... Us Ki Zulfoon Mein Bichii Dhoop Bujhaa De Koi....Yaan Hatelii se Koi Rang-e-Hinaa Le Jaye....Apni Sochon Ke Khizaney Nehi Chuptey Mujh Se....Koi Aye Jo Mujhe Khud Se Chura Le Jaye...Jiss Ka Daman Bhi Mohabbat Se Ho Khalii Asif....Hum Gareebon Se Zar-e-Ehad-e-Wafa Le Jaye

Rotha Tu Shahr-e-Khuwaab Ko Garat Bhi Kar Geya * Rotha Tu Shahr-e-Khuwaab Ko Garat Bhi Kar Geya....Phir Muskra Ke Taza Shararat Bhi Kar Geya...Shaid usey Aziz Thein Ankhein Meri Buhat...Woh Merey Naam Apni Basarat Bhi Kar Geya....Mun Zor Andhyon Ki Hateeli Pe Ik Chiraag....Paida Merey Laho Mein Hararat Bhi Kar Geya.....Boseeda BadBaan Ka Tokraa....Hawa Ke Saath....Tofaan Mein Kashtiyon Ki Sifarat Bhi Kar Geya....Dil Ka Nagar Ujarney Wala Huner Shanasss.....Tameer Hoslon Ki Emarat Bhi Kar Geya......Sub Ehl-e-Shahar Jiss Pe Uthatey They Ungliyaan...Woh Shahar Bhar Ko Wajeh-e-Ziyarat Bhi Kar Geya....Asif Yeh Dil Ke Us se Bicharta Na Tha Kabhi....Aaj Us Ko Bholney Ki Jasarat Bhi Kar Geya

Itna roea hoon kay ab ankoon maan pani bi nahi * itna roea hoon kay ab ankoon maan pani bi nahi ,maan nay yah baat magher is ko batani bi nahi ,zandgi; ab too talak ki yahi soraat hay ,tuj say rakni bi hay are tuj say nabani bi nahi ,seraf ankheen haan jo ban jahaan too yah bi hay bohat ,pori taswer mughay is ki banani bi nahi ,koi bay faz safer payoon say lapta hay kay ham ,chaltay rahtay bi haan are nakal makani bi nahi ,aak dewaar kheri hay mari are is kay mabaan ,maan nay rakhni bi nahi is nay garani bi nahi

Iss dil ki rahoon main * Iss dil ki rahoon main,... apno main sapno main,..... Palko ki chilman main,.... ashko ke ansoon main,.... Muskuratey hoton main,...har haseen chhre main,.... Har lamhe yadoon main,....khoobsorat muasam main Phootti kaliyon main,..... khiltey phoolon main,..... Suraj ki kirno main,...... dhoop main saye main,..... Karaktey badal main,...... baarish ki bondoon main,.. Dhalti shamoo main,......tanha ratoon main,........ Raat ki tariki main,......chanda ki roshni main,....Taroon ki jhilmil main,...khushboo main sanso main,Un kahi batoon main,......payar se mohabbat main,...Dhonda jaahaan main,......paay tujh ko ankhon main

ANSOO KAHAN SA LAOON * YEH JO AAAJ TUMHARI BEWAFAI NA ,TUMHAREE BE-ATNAYEE NA ,MUJHEE, TANHA KARDIA ,KIRCHI KIRCHI KARDIA ,AB RONAY KA LIYAH ITNAY ANSOO KAHAN SA LAOON ,AAJ KI RAAT KATEE GI KAISAY ,KAL KA DIN KATAY GA KAISAY ,ZINDAGI MERE KATEE GI KAISAY ,AB RONAY KA LIYAH ITNAY AANSOO KAHAN SA LAOON ,WOH JO TUMHARI BAATAIN ,WOH JO TUMHAREE IRADEE ,KAHAN GYEE WOH WADEE,JO TUM SAB BHOOL CHOKEE HO... AB RONAY KA LIYAH ITNAY ANSOO KAHAN SA LAOON?

woh larki * woh larki ,woh ak samander komal lerki ,mujh ko bohat chahti thi ,pyaar kai methai methai nagmai ,mujh ko roz sunat thi ,likh ker kagaz per naam mera ,woh seenai sai lagati thi,woh ak samander komal larki,mujh ko bohat chahti thi

Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho * Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Sahra Say Nikal Saktay Ho ............. Tum Chao To Mujhay Saiban Day Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Apnay Wajood Main Chup Saktay Ho ,Tum Chao To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar ............Tum Chao To Ik Diya Roshni Ka Jala Sakltay Ho ............Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai ,Tum Chao To Isay Hans Kar Guzar Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho ,Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho ,Tum Chao To Kia Nahi Kar Saktay .......... Tum Chao To Sub Kuch Kar Saktay Ho .. Buss,Baat Tumhary Chahny Ki Hai

TUMHARE YAAD KA MAUSUM * TUMHARE YAAD KA MAUSUM ,Koi mausum to aisa ho kay kise kay hijer mei ronay se pehle ,Hi mere aankhein sokh jain..!!!! koi mausum to aisa ho kay..!!! ,Jab kise anmit muhabbat kay phol mere dil mei khilein ,Laikin in mei wo khushbo na ho, jo mujhey tumhare qarb mein ,Mehsoos hoi thee!! Koi mausum to aisa ho kay!! ,Mere dil kay sare zakhum bher jain aur ager aisa nahi ,Ho sakta to.!!!! Kitna acha ho kay dil ki sare khuwaish wo sare khuwab ,Aur armaan yonhi ghut ghut ker mer jain aur!!Mujhey azaad ker jain ..koi mausum to aisa ho ,Jo tumhare yaad ka mausum na ho..!

Muhabat moorti hai * Muhabat moorti hai , Aur kabhi jo dil kay mandir main..., kaheen pay toot jaey to ... Muhabbat kaanch ki guriya , Fazaaon main kisi kay haath say ger choot jaaey to .., Muhabbat rog hoti hai ! Muhabbat raat hoti hai ..! Muhabbat jhilmilaati aankh main barsaat hoti hai! ,Muhabbat neend ki rut main haseen khuaabon kay raston per ..! Sulagtey jaan ko aatey rut jagon ki ghaat hoti hai ...! Muhabbat jeet hoti hai ..! Muhabbat maat hoti hai ..! Muhabbat zaat hoti hai!

Kaise Main Kahoon Tujh Se * Kaise Main Kahoon Tujh Se ,bataana chahay bhi tu kaise bataaye ,koi haal e dil sunayee bhi tu kaise sunayee koi ,zaroori tu nahin jisay hum chahain woh bhi ,humain chahay phir kaisey ,apnay pyaar ka mazaaq banayee koi

ujar lamho ke dastanain jo tum kaho to sunain tum ko * ujar lamho ke dastanain jo tum kaho to sunain tum ko ,k ham say kab say he jagtay hain chalo zara sa jagain tum ko ,tum he say rooshan hay zindagani tum he to aankhon ke rooshni ho ,tumhay jo aankhain he keh deya hay to keun bhala aab rulain tum ko ,tum aaj keun muztareb ho jana tumharay lehjay main toot kaise ,kaha nahe tah k waqt day ga mohabbataon ke sazain tum ko ,gubar aalood rastoon pay talash kar kar k thak gaya hon ,kahan pay ja basay ho jana kahan say ham dhoond laain tum ko

INTEZAR-E-SABA REHA * INTEZAR-E-SABA REHA BARSOON IK DARICHA KHULA REHA BARSOON AIK DIN US KA PIYAAR BARSA THA AUR MAIN BHIGTA REHA BARSOON UN KI AKHOON KAY JAAM YAAD REHAY BIN PIYA BHI NASA REHA BARSOON PHIR KEHIN JA KAY IK GHZAL LIKHI MAIN TUJAY SOCHTA REHA BARSOON FASLAY KAM NA HO SAKAY 'KAISER' AAMNA SAMNA REHA BARSOON INTEZAR-E-SABA REHA BARSOON IK DARICHA KHULA REHA BARSOON

tu hajoom-e-karab mein thaa tujhe * tu hajoom-e-karab mein thaa tujhe hoslaa bhee na de saka mere pass jo thee tere liye tujhe wo wafa bhee na de saka mere ankh mein bhee gubar thaa mere paoun bhee the bandhee howe tujhe manzoloun ka surag to kiya mein to raasta bhee na de saka mujhe rut jagoun mein paroo gaya khud faraq aoor k soo gaya mein tujhe mere jaan daraz-e-umer ki duwa bhee na de saka

Kabhi to ro-ayga * Kabhi to ro-ayga woh bhi kisi ki baanhon mein,Kabhi to usski hansi ko zawal hona hai,Milaingay hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyaan,Buss intezar hai kub yeh kamal hona hai

Sochoon tujhey din raat to * Sochoon tujhey din raat to,Hur cheez suhani lagti hai,Hur raat deewani lagti hai,Hoti hai dil mein aik ajeeb say khushi,Apni zindagi aik kahani lagti hai,Hur baat jo tum kehtay ho,Iss dil ko apni si lagti hai

Woh mujhsay pooch raha tha batao kaisa laga * Woh mujhsay pooch raha tha batao kaisa laga,Tum pichlay zakhmon ko choro, yeh ghao kaisa laga,Ajeeb sawal kiya andhiyon nay paton say,Shajr say toot kar girna batao kaisa laga

PyaR Ka SaFar * Saath usske pyar ka dilkaash safar acha laga,Chahna ussko toot kar bhi humay acha laga,Woh safar jo hum nay milkar sath kata tha kabhi,Zindagani mein kaheen buss woh safar acha laga

Ishq k bhi kuch aadab huwa kartay hain * Ishq k bhi kuch aadab huwa kartay hain,Jagti ankhon mein bhi khuab huwa kartay hain,Hur aik ro k dikhaye yeh zaroori to nahi,Khushk ankhon mein bhi sailaab huwa kartay hain

Barson baad phir say hamay satanay aaye * Barson baad phir say hamay satanay aaye,Guzartay huway mausam kuch yaad dilanay aaye,Unhay khabar nahi shayad, hum tumhey bhool chukay,Zakhm phir jagay, dard barhaanay aaye

Ek umer ke baad uss ko dekha !,Aankhoon mein sawaal thay hazarooon,Hontoon pe magar wohi tabbassum !Chehrey pe likhi hui udaasi,Awaaz mein gunjti judaiiiii,Baanhein theen magar wasaley samaa !Simtee hui uss ke baazuoon mein,Ta dair sochtee rahi thee,Kisi abr-e-guraiz paa ki khatir,Main kaise shajar se katee rahi thi,Kiss chaoon ko tarq kar diya tha,Mein uss ke galey lagi hui thi,Woh ponch raha tha aansoon merey,Lakin bohot dair ho chukii theeeee. End
wo aik lamha,jo meri aik bhool tha,aur wo shakhs,jo mujhay her roop mai kabool tha,laikin hakeekat ye na thi....na ab mujhay wo kabool tha,kyonkay..us nay jana mujh ko dhool tha,wo shakhs,jo meri aik bhool tha
(BEETI HUI YAADEIN) Mery pichly dinon ko lota dey yaarabb Meri beeti yaadon ko duhra dey yaarabb Wo dety thy mujh ko tashbeeh aksarr gulaab sey Wo saathi mery mujhy milla dey yaarabb Wo rakhtey thy aksar kitaabon mein phool ki pattiyaan Kion kaisey kab wo murjha gaye yaarabb Jinn ki shaguftagi pey phool bhi sharmatey thy Wo chehrey ab kion kumla gaye yaarabb Ay PAL bargey khizza mein bhi baharon ki aas Wo khuwaab kaisey suhaney dikhla gaye yaarabb..End
Kia kia ajab gul khilati hay zindagi,Sukh kay musmoon ko ghjm ki chadar urhati hay zindagi,Pehly ankhon my khawb sjati hay,Phir unhi khwaboon ka mazaq urati hay zindgi,Pehly khushboon say pholoon ko mehkti hay,Phir unhi pholoon say khushboo ko churati hay zindagi,Pehlay gham-e-yaarsay milati hay,Phir usi gham-e-ya.ar say juda karati hay zindagi,Pehlay jeenay ka jawaz humay batlati haydistancebw,Phir usi jawaz Ko mita si jati hay zindagi..End
Ab mien Aksar kuch soochta rehta hon,chalte chalte achaanak theher jata hon,inhi soochon mien meri zindagi guzar gaye,ab mien har waqt maazi ko kosta rehta hon,na jane woh kia lamha tha mien ne zindagi ko kho dia,ab mien moot ki Ahton ko sunta rehta hon,apne kiye pe ab mien buhat pashemaan hon,apne kiye pe ab mien soochta rehta hon,zindagi ke woh nayab lamhey be maqsad guzare,Ab inhi lamhon ko har waqt soochta rehta hon..End
Ham Udas Rahtay Hai,Tum Naa Yeh Samagh Layna,Ham Tum Hee Par Martay Hai,Yeh Udas Baatay Joo .........!!!Dil Koo Dard Daytay Hai,In Udas Lmhoon Mai,Angenat Sey Aansoo Hai,Angenat Say Sapnay Hai,Kiss Koo Mai Kahon Satheey,Kon Hai ..!! Joo Apny Hai,Raat Kii Khamoshe Mai,Dard Barhta Jata Hai,Aek Chara Aankho Mai,Jab Utarta Jata Hai,Aankh Hoo Yaa Dil Apna,Bareshey Too Hote Hai,Bareshoon Kay Moosam Mai,Loog Too Bekharty Hai,Tum Na Yeh Samagh Layna,Ham Tum Hee Pa
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,Kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,Lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,Gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,Kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi....End
Lafzoon ki kahani hay,Bas yahi zindagani hay,Kabhi ghum kay katahray main,Kabhi khusyoon kay dayray main,Humain bas muskurana hay,Abhi tu muskurana hay
Zindagi ki rahoon main,Rahiyoon kay milnay say,Phir bicharnay kay dar say,Abhi dil ko bahlana hay,Humain bas muskurana hay,Abhi tu muskurana hay
Guzray howe lamhoon ki,Yadoon ko bholana hay,Abhi tu ashkoon ko,Ankhoon main chupana hay,Humain bas muskurana hay,Abhi tu muskurana hay...End
Ajnabi rahoo per,ajnabi se sher mein ajnabi log muj per tans karte rahe,ajnabiyoon ki saath ban mein gaya ajnabi aur tum bhi aik ajnabi ki tarhaan satate rahe tarpate rahe Aur yaad aate rahe,ajnabi Haste huwe nikal gaye hamain aik ajnabi bol ke aur apney app ko bhi ajnabi khelwate rahe,Hum tou hain ajnabi phir bhi aik ajnabi se aik ajnabi ne ulfat-e-muhabbat ki chah ki thi woh bedard bhi aik ajnabi hee bante rahe,chah ko chah se kuch lagao tha sayad jo ajn
aai kash.....tum meri baat ko dil ki gharai se sunte aai kash...tum meri baat per bharosa karte mai ne sirf tumhe chaha hai tumhe saraha hai tumhe manga hai aai kash tum mujhe samajh kar dekhte..End
Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi,Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha,Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey,Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey,Yeh dor to faqt aghraz pey mabni hey,Meru muhabat bhi sirf char din ki kahani thi,Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti,Waqt key sath khialat badaltey gatey heen,Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey heen
Woh muhabat ko peristish ka maqam detta tha,Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samaghta tha,Kehta tha muhabat meen koi gharz posheeda naheen hotti,Muhabat to begharz aur lafani hotti hey,Kuch ajjeb falsafa muhabat meen us ka tha key,Woh meri muhabat ka talib bhi tha,Aur men usey matloob bhi na thi,Kehta tha key meen us ki rooh meen gazb hoon aisey,Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen
Mein ney chaha key khialat us key badal dallon aur,Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko,Woh muhabat ka pujari tha meen ney,Us ko tanhai ki saza dey dalli
Mujhey yaqqn hey woh sota to ho ga magar,Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee,Mehfal men woh muskarata to ho ga magar,Us tabassum men ik tees see uthti ho gee,Ankh meen aansoo to nazar na atey hoon gey,Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee,Meri yaad to us ki khon ki gardish key saath thi,Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee
Kion sochto hoon yeh sab kuch meen,Jo taaluq tha woh to meen ney toor dia,Woh zinda rahey na rahey mujheu is sey kia,Us ki saans rukey ya chaley mughey kia lena,Merey liey to faqt yehi kaafi hey key,Meen aik dunia dar larki aur,Woh kissi dosri dunia ka bassi tha....End
vo na duur hai na qariib hai,ye jo hijr hai ye nasiib hai,jo visaal thaa vo to Khvaab thaa,ye Khayaal kitanaa ajiib hai,vahii aa.Nsuo.n me.n duaao.n me.n,vahii dukh sukh me.n qariib hai,jo mai.n sochataa huu.N kah sakuu.N,meraa harf harf raqiib hai,ye falak zamiin ko sameT le,meraa dil bhii kitanaa Gariib hai..End
Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak,Sard kamrey mein machalti garm saanson ki mehak,Baazooaun ke sakht halqey mein koi nazuk badan,Silwatein malboos par, aanchal bhi kuch dhalka hua,Garmi-e-rukhsaar se dehki hui thandi hawa,Narm zulfoon se mulaim ungliyon ki cher chaar,Surkh honton par shrarat ke kissi lamhey ka aks,Rashmeen baanhon mein choori ki kabhi madham khanak,Sharmgeen lehjon mein dheerey se kabhi chahat ki baat,Do dilon ki dharkanon m..
Tujhe bhoolna tu chaha, lekin bhoola na paye,Tujhe bhoolna tu chaha, lekin bhoola na paye,jitna bhoolana chaha tum utna yaad aaye,guzre zamane sangdil dekhi na teri surat,dil ko sata rahi hai teri pyar ki zaroorath,Aaye jab bhi yaad teri meri neend rooth jaye.tune qadar na jana anmol chahaton ka
khaya maine dhoka tujh se mohabbaton ka,allah kare yeh dhoka tu bhi kisi se khaye.hai furqtoon ka maara, yeh maza hi kuch nirala,dekar lahoo jigar ka yeh rog maine pala,syed jahan mein aisa koi rog na lagaye.Tujhe bhoolna tu chaha, lekin bhoola na paye
jitna bhoolana chaha tum utna yaad aaye,jitna bhoolana chaha tum utna yaad aaye
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to,Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to,Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to,Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se rooth jayen to,Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to,Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena,Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena,Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena,Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana,Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main,Humain dil se pukaro ge,Humain tum saath pao ge...End
is dil ney bhi hamm ko sataya bohot hay.us bewafa key yadd main rulaya bohot hay.us ko bhula ker gey lain gey socha tha.hamm ko yadon ney us ki sataya bohot hay.raton ko bhi abb neend aate nahin hay.uskey jane nay mujh ko daraya bohot hay.ratt to ratt din ka ujala bhi abb to.mujhko us ki yadd dilata bohot hay.MOIZ abb is dil ko abb bhi uskey aaney ki umed hay.wo hay bewafa is dil ko samjhaya bohot hay....end
Hairaan tha mein dekhkar sitaro ki sarzameen,kabhi intihaan ki dilkash aaj kuch bhi nahi.mene dekha chaman mein phoolo ko kaliyon ko,woh rangat nahi rukhsaar nahi khushbuein bhi nahi,meine chanda se bhanwre se poocha kya sab ronaquo ka
wo bole ke dil ki nazar chahiyein,sab kuch hai sab mein hai vaisa wahien.ab bolo ki kaise dekhoon mein dil se.mein hoon yahaan mera dil hai kahien
aa jao ke khoob jaanti ho tum bhi,mera dil tumhare paas hai kahien aur nahi.ab pukaaro mujhe tum mere naam se na sataao ke ab jaan jaati hai.bichad ke mujhse tadpogi tum bhi jaanogi woh dard jab yaad aati hai....End
Yeh shukiya yeh shararatein yeh qehqahay yad ayeh gay,jab hum tumari iss duniya ko chor jahey gay,lak pukaro gay aur awazey do gay tum humey
lakin phir kabhi bhi hum wapis na ayeh gay,merey muskarahat merey batein aur merey khatoot,yeh sub tumey mere badh tarpahey gay,jab tanhai mein bath kar tum mujey socha karo gay,tou aakh sey ansoo tumarey bhi na rok pahey gay.jitna mein ney appney aap sey bar kar chaha tha tumey itnna tou tumey yeh sub duniya waley bhi na chaey gay..end
Anjani si aeik bhool hoi,us pe mein bohat malool hoi,merey dil ke band dareechoun pe,Kai khushiyan aakey nazool hoein,in khushiyoun mein apna sarapa,emin achanak hi se bhool gaye
tery mohabbat ke sapnoun mein,khil ke mein jesey phool hoi,tujhey khushiyan deney ki jo koshish ki mein ne
woo koshish jesey fazool hoi,isi koshish mein jo khwwab mein ne,aankhoun mein sajaye they,woo khwwab they ya sheeshey they,jo aeik hi pal mein toot gaye,in sheeshoun ki kirchiyan aaj bhi
mery aankhoun mein chubhti hein,neendein tau uraty hi hein,mery khushiyan bhi cheenty hein,dil ki khushiyan be mool hoeyin,Anjani si aeik bhool hoi...End
Shaam-e-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay,Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay,Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain,Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay,Aaj Ansoo Bahanay say Mat Rookiay
Aaj Barish Thamay Hum Nahi Chahtay,Hum Teray Baad Ujray Hoay Theek Hain,Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay,Teray Pekar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay,Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shor,Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay,Iss Qadar Pyar say Tu Pukara na Kar,Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay...End
Ruk kar raat, thaher gayi hai wahi,Adhuri baat, rahe gayi hai wahi,Zaraa sa mud ke dekha,Usi yaado ke mode par,Teri tasvir nazar aayi thi,Meri takdir nazar aayi thi
Panahe thi tere pyar ki,Tere baho ke sahare the,Jab nikla dil, in sapno ki yaado se,To chaaro aur tanhaai thi,Tera pyar, na teri bahe thi,Bas ek main thaa,Aur mere dil ke rone ki aawaze thi...End
yunhi bay sabab na phira karoo,koi sham ghar bhi raha karoo,wow ghazal ki sachi kitab hai,usay chupkay chupkay parha karoo,koi hath bhi na mila ay ga,jo galay milo gay tapak say,yay naiay mizag ka shehar hai,zara faslay say mila karoo,abhi rah main kai moor hain
koi aayega ga koi gaye ga,tum hai gis nay dil say bhula dia,usay bhool nay ki dua karoo,mujhay ishtihar si lagtey hain
ye muhabbatoon ki kahanian,jo kaha nahin wow suna karoo,jo suna nahin wow kaha karoo,kabhi husn pardanasheen bhi ho,zara aachikana libas main,jo main ban sanwar kay kahin chalon meray sathh tum bhi chala karoo
nahin bay hijab woh chand sa,kay nazar ka ko;i asar na hoo,usay itni garmi-ay-chook say,bari dair tak na takaa karoo,yay khizan ki zard si shal main
jo udas paar kay pass hai,yay tumharay ghar ki bahar hai,isay aansooun say hara karoo,,,,End
Kisko likhun, kaise likhun, kistarah likhun..Likhne ko chahta hoon dile muddua likhun
Unke liye jo ashk bahaye they roz o shab..Ji chahta hai aaj unhain bewafa likhun,Kehte they iss jahan main kabhi chorna nahi
Jo saath dey ke chor gaye usko kia likhun,Zakhmon ko saath leker guzaroonga umer bher..Ab hamsafar yahi hai mera, kiun bura likhun,Shaida bana to ishq main nakamiyan milein..Her ek dhadkaon se usey baddua likhun....End
Ek din milgaya woh,Miltey he acha lagney laga who,Janey ko ausey , yeh chahat hohe,Apney sub batney ko dil kara,soochoun main rahain lagta han woh
kuch apna apna sa lagney lagta han woh,ana aus ka , kushi ki waja ban jaye,sirf khayal he aus ka, meethi se hasee ban jaye,dil main kuch kuch honay lagaye
unjani se dua per waqt, dil mian rahey,Shaid yahe pyaar a han,Jo lafzoun main bayain na ho, wohe pyaar han....End
meri duniya meri muhabbat sirf tum ho,meray khawab-o-khayal mai sirf tum ho,ghair se lagay is diyar mai saray,apnay se lagay is dil ko jo sirf tum ho,meri yadon ka aghaz hai tum se,meray khawabon ki tabeer tum ho
dekho to dewana log hain kehtay,shamil hi merihar baat mai tum ho,dortay ho yun rago mai khoon ban k,jism_e_bejan ki jan sirf tum ho..End
ham milein gay aik din,ham milein gay aik din,aesa aaye ga aik din jab,ham milein gay aik din,kay jo aankhein khuab jama ker rahi hain,woh apny ander asal manazer bhi rakhein gi,ham milein gay aik din
kay diloon may milny ki khuahish machel rahi hai,es khuahish ka takmil hona,mujeza hi sahi,mager umeed kamil hai,aur yaqeen mustehkam kay,ham milein gay aik din,kay aasmanoon kay andhery main,chamakty hoey tary aaker
qadmoon main hamary deher ho jaein gay,ham un ki roshnioon main kho jaey gay,muhabat ki ,wafa ki an ginat sepeyan,chunty chunty dilon main machlty jazbat kay
samanderon main beh jaeien gay,ham milein gay aik din,kay es duneya ka her fard heran reh jaey ga,jesy ham heran hain aik dosry ko pa ker,ham milein gay aik din,ham milein gay aik din...End

Kese Badbakhat Sa Jab Dil Ka Deya Bhi Na Jale...Asma Sa Utar Te Han Andheree Kaya Kaya..........Log Asya Ke Carhan Bek Gaye Asya Ke Leyan.......Sare Bazar Tamasha Nazar Ayee Kaya Kaya.........Kahean Kadmo Ke Nesha Han Kahean Kabroo Ke Nesha,Karwan Zest Ke Saharah Sa Gozare Kaya Kaya.....onj Otha Dil Unsa Tu Koye Bat Bhi The...........Gosh Unsa Me Undele Gaye Davee Kaya Kaya........Lafz Ke Shan Se Takhlek Howa Tha Lakeen..........Is Ka Mafh
Leharoo me dobte rahe darya nahi mela....Is say bhechar ke pher koye wesa nahi mela,wo bhi bohat akela hai shayad mere tarhan,Is ko bhi koye cahane wala nahi mela.....Sahil pesa ketne log mere sath sath the,Tofa ke zad me aya tu tinkanahi mela ....Do car den tu ketna sokon say gozar gaye,Sab kheryat rahi koye apna nahi mela.....End
Tera Khayal Meray AAs Paas Rehta Hai,Koi Jamal Meray Aas Paas Rehta Hai,Tu Kon Hai Meray Dil Main Kahan Say Aya Hai,Yehi Sawal Meray Aas Paas Rehta hai,Mujhe Khabar Hai Main Azad Bhi Phiron Phir Bhi,Tumhara Jaal Meray Aas PAas Rehta hai,Kabhi Kabhi Koi Milti Bhi Hai Khushi Mujh Ko,Magar Malal Meray AAs Paas Rehta Hai,Main Jis Zameen Pay Rehta Hoon Apni Duniya Main,Koi Zawal Meray Aas Pass Rehta hai..End
dil ka zakham zuban per laya nahin kartay , hum apni ankhon say ansuu bahaya nahin kartay, zakham kitnee gehray kyun na hoon,hum apnay hontoon say muskarahat hataya nahin kartay ...End
uss kai piaar main reh kar be na kuch kar saka,uss ke ankhoo kai samandar main reh kar be na tar saka,Na kuch kar sak,piaar ki aag itni the kai uss aag main na jal saka,uss kai piaar main reh kar be na kuch kar saka,Na kuch kar saka,piaar kai gham he itney they kai ghamoo say na lar saka,uss kai piaar main reh kar be na kuch kar saka,Na kuch kar saka,khowahish the kai hasil ker loo likin yeh omeed he na bar saka,uss kai piaar main GUL reh
Tum Se Kuch Is Tarha Ki Chahat Ki Hai.......!! Tumhare Baghair Zindagi Ka Koi Tasawur Nahi Kuch Is Tarhan Se Tumhari Tamna Ki Hai Hamaray Darmiyaan Hai Rahain Sadiyon Ki Khamoshiyan Main Nay Tum Se Kuch Is Tarha Gufftagu Ki Hai Meray Dil Main Baas Jao Tum Ruh-o-Muhabat Baan Kay Main Nay Dil Ki Geherai Say Ye Ilteja Ki Hai
Tumharay Milnay Se Pehlay Main Khud Se Na Aashna Tha Samjaha Hai Piyar Ko Jab Se Muhabat Ki Hai Meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Se Hi Hein Wabasta Main Nay Rab Se Tumhain Panay Ki Dua Ki Hai Main Tumhain Cheen Longa Duniya Ki Rasmon Se Main Nay Tumharay Liye Zamnay Se Baghawat Ki Hai..End
wohi muskan dheeme si,wohi kuch bolti aankhen,wohi saaye se ghabraana,wohi khane se kuch derna,wohi chupchaap se lahja,sab hi aasar khaten hain,...............usay mujh se muhabbat hay..End
Mujhey Us Sey Mohabbat Hai*Woh Mujh Sey Yeh Nahin Kehta,Usey Mujh Sey Mohabbat Hai,Mager Woh Aaj Kal Ik Junoon Ki Zud Mein Rehta Hai,Ajab Ik BayKhudi Hai Jo Usey Bechain Rakhti Hai,Woh Mujh Sey Baat Kerta Hai,Bhut Hi Aam Si, Mousam Ki, Logon Ki,Mehaz Duniya Ki Rasmi Si,Woh Mujh Sey Baat Kernay K, Bhanay Dhondta Hai In Hawaloon Sey,Samajhta Hai Mein Us Ki Aam Si Batoon Ko Bus "Yunhi" Samajhti Hoon,Woh Milta Hai Mujhey Akser Bhanoon Sey,K Mein Guzra Yahan Sey Tu Socha Baat Hi Kerloon,Samajhta Hai Mein Us K In Bahanoon Ko Na Janoon Gi,Kabhi Jo Phone Kerta Hai,Tu Us ki Mohabbat Us K Lehjay Sey Chalakti hai,Mujhey BayChain Kerti Hai,Woh Mera Dhayan Rakhta Hai,Meri Her Baat Ko Hi Bin Kahay Woh Jaan Leta Hai,Samajhta Hai Woh Yeh Phir Bhi,K Us Ney Khud Ko Chupa Rakha Hai Khud Hi Sey,Mager Akser,Woh Khud Anjanay Mein Apna Yeh Parda Chaak Kerta Hai,K Jab Meri - Bhut Pehlay Kahi Hui Her Baat Ko Woh Yaad Rakhta Hai,Aur Unhi Lafzoon Mein Meray Samnay Duhra Bhi Deta Hai,Yun Lagta Hai,K Us Ney Meri Kahi Her Baat Ko Yun Yaad Rakha Hai,Woh Jesay Ik Sahifa Ho,Woh Mujh Sey Yeh Nahin Kehta,K Us Ki Khawaish Us Ko Bhut BayChain Rakhti Hai,Ya Shayed In Dinoon Woh Khud Sey Bhi Chupata Hai,Mager,UsKi Nigahein Akser Usey Nakam Kerti Hein,K Saray Jam Ulfat K Woh Bhar Bhar Ker Lutati Hein,Woh Derta Hai Kahin Woh Kho Na Dey Mujh Ko,K koi Baat Us Ki Mujh Ko us Sey Duur Na Ker Dey,Woh Mujh Ko Sochta Hai,Jagta Hai Raat Bhar Woh Bhi,Mager Shayed Abhi Us Ko Mohabbat Mein,Khamoshi Sey Hi Jalna Hai,K Woh Jab Tak Parh Nahin Leta,Woh Aankhein Jis Mein K Us Ka Naam Likha Hai,K Meray Lahoo Ki Gardishoon Mein Raqs Kerti Chahatein Us Ki,Woh Jab Tak Paa Nahin Leta,Samajh Leta Nahin Jab Tak,K Mein Bhi GaamZun Hoon,Khamshi Sey Us K Rastay Per,Mein Bhi Jagti Hoon Sochti Hoon Raat Bhar Us Ko,Mager Us Sey nahin Kehti,"Mujhey Us Sey Mohabbat Hai"
Intezar ne tou hum ko muntazir bana dia* intezar ne tou hum ko muntazir bana dia,par deedar k talab ne pyasa bana dia,tere ishq ne jab chhuwa, tere yaad bun k chhora,is darmian mai mujh ko nikamma bana dia,chuma jo mai ne lab ko tou mai ho gaya shaheed,zalim ne mujh ko shama ka parwana bana dia,aisa dekhaya jalwa k hairan mai huwa,is deeda-e-husn ko kambakht ne ashiq bana dia,jo dil ka bojh kar rahay thay kaghaz pe muntakil,ASif zamane ne un ko, shair bana dia
kash main yeah samgha seqta tum ko*yeah dil bhi kitna paagal hay har baar ik hi rah chunta hay,her baar gir ka sembahlta hay phir bhi kion girna ko dil kerta hay,har aahat main har pal main her saannc main who hi rehti hay,ek aahh who hamaari sun lay too shayad os ko apni har ik sanch sa pyaar ho jaya,jis saanc main who rahti hay who talabgaar ho jaya,aur merii saancen bhi os kay pyaar main jaa nisaar hoo jaya..End
Tum Bin guzaar to jayee gi zindagi*Tum Bin guzaar to jayee gi zindagi,per main ji Na paoon ga tum bin,Hazaroon sitaroon ki bheer main bhi dekhoo,Ye chand kitna tanha hai tum bin,Rahon kahin bhi kisi ke sath bhi,Per main hamaisha udaas hoon tum bin,Agar charagoon ki roshni main hoon main,Per mere zindagi main andhaira hai tum bin,Baharoon ka mousam to hai gulshanoon main,Per pholoon mai khushboo nahi hai tum bin,Is hansi ke kehkahoon main dekhoo,Mera dil roo raha hai tum bin,Mera sab kuch to tum hoo,Main to Kuch bhe Nahi H00n tum bin ..End
Tum Se Kuch Is Tarha Ki Chahat Ki Hai*Tumharay baghair zindagi ka koi tasawur nahi,Kuch is tarhan se tumhari tamna ki hai,Hamaray darmiyaan hail rahain sadiyon ki khamoshiyan,Main nay tum se kuch is tarhan gufftagu ki hai,Meray dil main baas jao tum ruh-o-muhabat baan kay,Main nay dil ki geherai say ye ilteja ki hai,Tumharay milnay se pehlay main khud se na aashna tha,Samjaha hai piyar ko jab se muhabat ki hai,Meri zindagi ki khushiyan tum se hi hein wabasta,Main nay Rab se tumhain panay ki Dua ki hai,Main tumhain cheen longa duniya ki rasmon se,Main nay tumharay liye zamnay se baghawat ki hai..end
Dard kuch ghatata nahin hai*Dard kuch ghatata nahin hai , kya karain,Dil kahin lagataa nahin hai , kya karain .Raat kalee syaah itnee der thee,Din main kuchh dikhta nahi hai kyaa karain.Baandh tha jo sabr ka barson talak,baadh aa kar dha gayi hai kya karain.Khwab - khali the , bahut khaamosh the,Koi chham se aa gayi hain kya karain.Dekh kar ek baar unko roo ba roo,Khat se jee bharata nahin hai kya karain..End
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi,Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi,Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,Safeena doob raha hai, to koi baat nahi,Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi,Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha,Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi,Kise majaal kahe koi mujh ko deewana,Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi ..End
Kisi sey baat na kerney ka ihsssas ,Kab taak uddass kerey ga,Kisi ko chahney ka ihssaas, Kab taak russwa kerey ga,Kisi key anney ka Intezaar , Kab taak keroon mein,Kisi kee aik muskan ka intezaar , Kab taak keroon mein,Muhabaat kerta hoon uss sey
Kab taak sab sey chupaoon,Chup Chup ker dehktah hoon ussey. Kab Taak dil ko jilaoon,Tu tu! dewana hai Asif, Kab taak hijer kee AAg mein Jaltah rahey ga ,Woh tu! aaker chahlah bahe gaya, Kab taak dar! (door) taktahk rahey ga...End
Aaj ki raat nahin shikwey, shikayat ke liyey Aaj hur lamha, hur aik pal hai Mohabbat ke liyey Reshmi saij hai, mehki hui Tanhaai hai Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai hur Gunaah aaj Muqaddas hai Farishton ki tarha Kaanptey haathon ko mil jaaney do Rishton ki tarha Aaj milney mein na uljhan hai
na ruswaai hai Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai Apni zulfein merey Shaaney pe bikher jaaney do Iss haseen raat ko kuch aur Nikher jaaney do Subha ne aaj Na aaney ki Qasam khaai hai Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai,,,end
aaj ki shaam teray naam lutadi maine aik ghari aur zindagi ki ghatadi maine yuin to har shaam hi teray naam likh rakhi hai maine aaj deewar nidaamat ki gradi maine..end
Aaj phir dard ne chhauka diya,Aaj phir jakham kahne ka mauka diya,Meri baat par na yakin karne wale,Saza suna di, na kahne ka mauka diya,Barbas hi ankhe meri chalak gayee
Ankho ne bhi dil ko rone ka mauka diya,Bada shor sunteay theay unke naam ka,Ussi ne na hum ko sambhalne ka mauka diya,Yeh kum nahi teri inayat mujh par,Chand lamhe sahi hasne ka to mauka diya ..End
Aankhain Rishtay bantai hain Ya jo aankhain hoti hain ya jiss kissi ko bhi daikhti hain aik rishta kaaim kar lati hain bas uss rishtai ki shanakht aik doosrai sa mill kar hoti hai jaisai doosti,aashiqi,etc aoor ya aankhain khuch rishtai aisai kaaim karti hain ka hamain un rishtoon ksamajhnai ka liya milna ki zaroorat nahi parti jaisai maan baap bahan bhai aaoor doosrai rishtai dar aab aap ka zahnoon main ya sawal aaa ga ka rishtai to aasmano
ya bool rahai hai ka aankhoon main bantai hain to iss ka simple solution hai aap jo kaam bhi kar rahai hain ussa coor kar uthain mirror ka samnai aaain aoor ghoor sa apni aankhain daikhain aap ko in main dhalti sham main nikalta chand bahtai samandar ubharta hoaa bahanwar door tak pahla hoaa aakash aaor yo nazar aaaga jiss ko aap sab sa ziyada piyar kar tai hai ...End
Samander mein uterta hoon to ankhein bheeg jati hain,Teri ankhoon ko pherta hoon to ankhein bheeg jati hain.Tumhara naam likhne ki ejazat chin gaye jab se
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhein bheeg jati hain.Teri yadoon ki khushboo khirkiyoon mein rakhs kerti hai,Tere gham mein sulaghta hoon to ankhen bheeg jati hain.Na jane hogaya hoon is qadar hassas main kab se
Kisi se baat kerta hoon to ankhein bheeg jati hain.Wo sab guzre lamhaat mujh ko yaad atay hain,Tumhare khat jo perhta hoon to ankhein bheeg jati hain.Main saraa din bohat masroof rehta hoon magar jonhii,Qadam choqhat pe rakhta hoon to ankhein bheeg jati hain.Hazaroon mosamoo ki hukumrani hai mere dil per,Wasi^ mein jab bhi hansta hoon to ankhein bheeg jati hain...End
Aansoo Ko Bohat Samjhaya Tanhai Mein Na Aaya Karo........Mehfil Mein Hamara Mazaq Na Uraya Karo Is Par Aansoo Tarap Kar Bolay Itnay Logon Mein Aap Ko Tanha Paatay Hain, Is Liye Chalay Aatay Hain...End
DEY GAYA WO SHAKS MUJHE TALKHITAN ZAMANE KI,Aao Aik Koshish Karlein Us ko Bhool Jane ki..BeRabt see Batien Uski
BeYakeen saa Lehja thaa,Baat Woh kya kurta thaa Zindagi Nibhane ki ......Dekh kur Kisi ko Aaj Yaad aaya hai Woh Shakhs
Jis ki Hur Ada hoti the Bhool,Bhool Jane ki...Jub gaya to Us ne Mur kur phir Mujhe nahi dekha
Dastaan jo sun li hogi Path raiye Jane ki ......,Aaj Kul Woh aksar Mujh ko Yaad Aata hai Yaaro,Arzoo Mujhe thee Jis k Chore kur Naajane ki .. End
Chaho to dilse humko,mita dena Chaho to,humko bhoola dena,Par yeh wada karo ki,aaye jo kabhi yaad humari,Rona mat sirf muskura dena..End
meri chand baton ko laryoon main saja lai aaj,main tera hoon yaqeen say mujay apna bana lay aaj,main qasmain khanay ka aadfi hoon nahi laikin
wafa ki sang meray ik qasam too kha lay aj,main khush hoon sanjeeda hoon aur chahta hoon yeh,apni masoom ankhon say shak kay waswasay ura lay aaj,ghar bhrosa hi meri zat pay ae dost
to khushiyon say apni mang saja lay aaj,kahtay to bohat hain is kism ki batain,ghar ho sakay to in pay aitmad jama lay aaj,dawa to nahi kerta kasmain to nahi khata
sun saktay ho awaz-e-qalb to un is kay nalay aaj,yeh sari batain jo kahi main nay suni tu nay,ghar yaqeen nahi to kisi tara say bhi aazma lay aaj ...End
ai ishq na chher aa aa ke hamein,hum bhuley huon ko yaad na kar,pahale hii bahut naashad hain ham,tu aur hamein naashaad na kar,qismat kaa sitam hi kam nahiin kuchh,ye taazaa sitam ijaad na kar,yuN zulm na kar bey-daad na kar,ai ishq hamein barbaad na kar,jis din se milan hua hai donon kaa,sab chain gaya aaraam gayaa
chehron se bahar-e-subah gaeii,aaNkhon se faroGh-e-shaam gayaa,haathon se Khushii kaa jaam chhuta,honton se haNsii kaa naam gayaa,Ghumgeen na banaa naashaad na kar,ai ishq hamein barbaad na kar,raaton ko uth uth kar rotey hain,ro ro kar duaein kartey hain
aaNkhon mein tasavvur dil mein Khalash,sar dhunate hain aahen bharate hai.n,ai ishq ye kaisaa rog lagaa,jiite hai.n na zaalim marate hai.n,ye zulm to ai jallaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar
ye rog lagaa hai jab se hame.n,ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo,har vaqt tapish har vaqt Khalish,be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo,jiine se idhar bezaar huu.N mai.n,maranbe pe udhar tayyaar hai vo,aur zabt kahe fariyaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar
bedard zaraa insaaf to kar,is umr me.n aur maGmuum hai vo,phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii,taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab,majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo,mazaluum pe yuu.N bedaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar,ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n,vo shoKh hasii.n badanaam na ho,vo maah-e-laqaa badanaam na ho,vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe,vo pardaa-nashii.n badanaam na ho,us pardaa-nashii.n ko yaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar,ummiid kii jhuuThii jannat ke,rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n,aa_iindaa ke farzii ishrat ke,vaade se na kar betaab hame.n,kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii,aatii hai nazar kaamayaab hame.n,chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar,do din hii me.n ahad-e-tifalii ke,maasuum zamaane bhuul gaye,aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n,lab ke vo taraane bhuul gaye,un paak bahishtii Khvaabo.n ke,dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar,aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa,aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa,aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa,barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa,ehasaas ko Gam buniyaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar,jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n,aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko,aur dil ko Khayaal aabaad kare.n,Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N,vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar,vo raaz hai ye Gam aah jise,paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n,aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n,aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n,zaalim hai ye duniyaa dil ko,yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n,hai zulm magar fariyaad na kar,ai ishq hame.n barbaad na kar,duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa,GamGii.n sii hai betaab sii hai,ummiid yahaa.N ik vaham sii hai,taskiin yahaa.N ik Khvaab sii h
Bay baat bigardtay rehtay ho,Bay chain hamaisha rehtay ho,Yeh sub nishani ishq ki hai,Kiya ishq kisi say kertay ho?Ratoon ko jagtay rehtay ho,Aur taray bhi tum gintay ho,Yeh sub nishani ishq ki hai
Kiya ishq kisi say kertay ho?,Zikr jo maira chirdta hai,Cehray ka rang badalta hai,Bay chain say tum ho jatay ho,Kiya ishq mujh hi say kertay ho? ...End
Agar Hum Dost Hotey,To Karam Ki Inteha Kartey,Tumhain Palkon Pey Rakhtey Hum,Tumhain Dil Main Basatey Hum
Agar Tum Rooth Jaatey To,Tumhen Kitna Manatey Hum,Jo Milney Tum Nahi Aatey To,Aa kar Khud Tumhain Miltey,Tumhari Laghzishon Ko Bhi,Hansi Main Hum Ura Daitey
Agar Apni Khata Hoti,To Khud Ko Bhi Saza Daitey,Magar Ye Sab Jabhi Hota,Agar Hum Dost Hotey To,Magar Itna Hi Jana Hai,K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko,Paraya Keh Kar Jana Hai,Kabhi Hamdam Naa Mana Hai,Agar Hum Dost Hotey To...End
agar kabhi meri yaad aye,tu chand raat ki dilgear roshni main,kisi sitaray ko dekh lena,agar o nkhal falak se urkar tumaray qadmoo main agiray tu yeh jan lena,o isteara tha meray dil ka,agar na aye ?,magar yeh mumkin hi kis tarah hai kay kisi per nigah dalo
tu uski diwar jan na totay,o apni hasti na bhool jaye !!agar kabhi meri yaad aye,guraze karti hawa ki lahrron pe hath rakh lena
main khusboan main tumain milonga,mujay gulaboon ki pation main talash karna,agar sitaroon main , aous khusboan main,na pao mujko,tu apnay kadmoon main dekh lena,main girti hoi musafatoon main tumain milonga,kahin per roshan chragh deko tu jan lena,kay her patangay kay sath main bhi sulag chuka hoon,tum apnay hatoon se in patongoon ki khaq darya main dal dena
main khaq ban kar samandar main safar karonga,kisi na dekay hoya jazeray pe ruk kay tumain sadain doon ga,samanduru kay safar per niklo,tu is jazeray per kabhi utarna!!..End
Agar talash karoon koyee mil hii jayee ga ... Magar tumharee tarha kon mujh ko chahee gaa...Tumhee zaroor koyee chahatoon se dekhee ga ...Magar woo ankh hamare kahan see layeee ga..End

Webmaster : bukhari@domailme.com